Monday, 25 July 2011

Sabar Ka Phal

A Story Of  a Innocent Pakistani .....

Dopahar kay saarhay 3 baje ka wakt tha , dopahar ka khana khanay kay baad ki tabiyat ka bojhal pan uske wajood mai apne asraat muratab ker raha tha , bijli hasb-e-maamool nahi thi , bhaadon ka mausam apne zooroon pe tha , samney counter pe rakhe toliye kay rumal ko uthate huye usne kuch der dukaan se bahir kharay honay ka faisla kia .Garmi k sath habs ka silsila b chal raha tha machroon kay kaatay par bazoo khujata hua wo dukaan se bahir aa khara hua tu kuch rahat mili aik becheni ka ehsaas abhi bhi uske ander tha rukmal se chehre se tapakate pasinay ko saaf karte huye usne aasman ki janib dekha tu janood se kaali ghatayein apna safar teh kartien nazar ayein man hi man wo khud ko tasali dene laga
        Paas se guzarte aik shaks ney wakt daryaaft kia aur sath hi hath kay ishare se pani kay glass ka mutaalba kiya.Bawajood iske kay yeh usko nagawaar guzra wo phir bhi dukan kay ander rakhey cooler se pani bharne laga in chand lamhaat mai  ,deewaron aur zameen se nikalne wali tapish ne usay mukamal taur pe bhigo dia pasinay kay katray aik bar phir uski sharyaano se tapak kay uski gardan tak jane lage.pani ka glass wapis lete hue usne aik martaba phir aasman ki janib dekha tu badal apni kaafi safar teh ker chuke they usne aik thandi aah bhari aur bechani kay alam mai idher uder dekhne laga dar asal wo khud bhi nahi janta tha wo kya chahta hai achanak uski nazar zameen pey giray  aik akhbar par pari .yeh akhbar ka filmi safha tha kuch der chat pati khabrein parh kay wo zer e lub muskuraya aur phir uski akhbar ko teh laga ka jhalnay laga ,hawa jab uske chehre se takrayi tu bey sakhta uski aankhein band hone lagein , gahak bhi jaise aaj naaraz sa hai ?yeh sawal dil  mai utra hi tha k khud hi se jawab aaya kay mumkin hai mausam ki wajah se halat aise hein.kuch der khara wo yunhi khud se sawal o jawab kerta raha achanak uski zuban aur halaq sookhne lagey pani ki talab usay satane lagi tu wo aik bar phir dukaan kay ander gya glass cooler ki toonti se lagaya tu uska  bahao tez na paa kay samajh gya k mausam ki wajah se cooler aaj jaldi hi khatam ho gya .Glass ko neeche rakhte huye aik hath se toonti ka button jabkay doosre e cooler ko aik taraf jhuka kay wo glass bharne laga , 2 glass isi mushaqat se peene kay baad wo kuch taza dum hua .
       Asman ab abar e alood ho chuka tha aur aasmani roshni bhi kuch tham si gyi thi lekin habs ka aalam kuch mukhtalif na tha "YA ALLAH apne gunahgar bandoon pey rehmat ki barish nazil farma" hontoon ko harkat dete huye usne parwardigaar se iltijaah ki .Jaib mai rakha uska mobile bajne laga .mobile utha k wo kuch der muskura kay baat kerta raha yeh uski beti ka phone tha jo baap se aam(mango) khanay ki farmaish ker rahi thi wo haami tu bhar chuka tha lekin is baat se afsurda tha k gaahak ney subha ki shakal nahi dikhayi aur aisa mausam sir pay  maathay pey parne wali salwatein uski pareshani waazhya kar rahi thein wo inho khiyaloon mai gum tha k aaj ghar aam kaise ley jaye jayein kay achanak zor daaar  badal garja bijli ki chamak ney aasman roshan ker dia aur aasmaan meena barasne laga tez hawa k sath moti moti boondein zameen se takraane lagein usne man hi man khuda ka shukar aada kia aur hath aagay barha kay apni hatheli per bondein mehsoos karne laga 
        Garmi ka zor toot chuka tha lekin ghar aam kaise ley jaye jayein yeh fikar usay halkaan kar rahi thi barish ka silsila kabhi tez kabhi halka , par chalta raha isi mai 6 baj chuke thay aur aas paas ki dukano kay shutter girne ki awazein aanay lagein.Market apne mukararah wakt pey band ho rahi thi par is ney kuch der aur bethne ka faisla kia barish kuch der ko ruki tu sahi par dobara yehi silsila shuru ho gya isi mai raat kay 8 baj chuke they  aasman siyah ho chuka tha aur door door dekhne se bhi koi dukaan khuli nazar na aa rahi thi bil aakhir usne barish ka bahana bana kay aam na lejane ka faisla kia aur ahista ahista jhukay shaanoo kay sath dukaan band karne ki tayarian karne laga.
      Aik shaks jo goya koi rah geer tha barish se khud ko bachaata bachaata dora chala aaya aur bila ijazat iski dukaan mai ghus gya rah geer ne maazrat ki aur kuch der yahan qayaam karna chaha .Usne mokay ko ghaneemat aur khuda ki masleyhat jana aur kuch der aur dukaan kholay rakhne ka faisla kiya .raat kay saarhay no ( 9:30) baj chuke they aur barish mukamal taur pe ruk chuki thi rah geer nay ijazat talb karte huye uska shukria aada kia  , abhi wo murha hi tha kay achanak uske mobile ki ghanti baji aanay wala fone uski bewi ka tha jo cheekh cheekh kay usay bata rahi thi kay aaj phir barish kay baad poora ghar keeray , makooron aur patangoo se bhar gya hai aaj kataan keeray maar duwa na bhooley ,mobile band karte huye rah geer mura aur counter pe rakhi aik bottle pey likhi tafseelat parhne laga ,tasali paa kar rahgeer ney chaar botloon kay paise usay thamaye aur botloon ka thela utha kay chalta bana .
       Dukan band kar kay wo tezi say kadam barhata hoya phal faroshon kay ilaqay ki taraf chal para. jald hi aamoo se bhara thela uske hath mai tha barish kay baad peda honay wali thandi hawa usay bey tahasha raahat baksh rahi thi .abkay  uske chehre pey aik maani khaiz muskurahat thi...Yakeenan usay uske sabar ka phal mil chuka tha.

No comments:

Post a Comment