Sunday, 7 August 2011

Saawan

Sunu
ab tu barsaat bhi aanay ko hai
badal bhi ab ansoo bahane ko hai

wo bondoon ka tup se tapakna
wo cheentoon ka chal se chalakna 

mehaz ik raag sa sunane ko hai

wo geeli mitti ki khushbu
wo geelay patoon ka manzar
wo geeli geeli si raahein
goya jidher  bhi jayein

faqat dil-e-weeran ko tarsane ko hein

wo parindoon ka seham kay bethna
wo bachoon ka angan mai chehakna 

ik manzar acha dil kay behlanay ko hai

wo hawa say jhoolay ka hilna
wo aasman o zameen ka milna 
wo muskurahtoon ka khilna

khayal-e-khoobsurat ankhon mai thehar jane ko hai

sunu
khud say itna pyar na karna
kisi ki nazar ka aitbar na karna
ab kay saawan....singhaar na karna

kay weham aur bhi dil mai......satanay ko hein


1 comment:

  1. Zabardest ,
    ik manzar acha dil kay behlanay ko hai

    khayal-e-khoobsurat ankhon mai thehar jane ko hai

    daaad wasul kejeay :)

    ReplyDelete