Bachpan jo aik talkh yaad ki terha guzar gaya aur phir aaya zindagi mai asal jashan-e-baharaan mananay ki umer ayi warna humari nazar mai tu patang bazi hi asal maqsad tha jashan-e-baharan ka kher maqsad tu ab bhi patang bazi hai bus patang ka mafhoom badal gaya hai.bhei dil aur aankhein bhi tu patang hi hein na na koi khas farak tu nahi ,maqsad in sab ka urna hai aur phir kat janay k bad kisi k aangan mai girna.aur log bhi buhat siyanay hien jo patang baaz hazraat hien wo tu patang sambhaal letay hien aur jo shokeen nahi wo phaar phoor k phenk detay hien hata k massoom patang kay teelay bhi nahi chortay .na chorein humari balah se hum ney konsa patang urana chor dein gey.hum tu patang baazon k mast qalander hien had-e-nigah tak uraana jante hien.
Pay se pech aur pech se pechaa yehi dastaan-e-mukhtasir hai humari.zamana-e-talib ilmi se hi apna sika manwaya tu jawani dewani mai kiunkar maan lein k asal pecha taiz maanjhay se hi laraya jaa sakta hai .bewakoof hi sahi par itna jantey hien k jakraray nainnoo ki dhaar tu tepu sultan ki talwar ki dhaar se b taiz hai tu ye do do takay k maanjhay kis ehmiyat k haamil hien tu bus aao dekha na taoo hum b peshaawaar(professional) se pechaawaar ban gaye aur yun urdu k sath bhi mirasam aur raabtay khatam kar diye aur mahawaraat mai hum apne kamalaat dikhanay lagay, jaise shat se gira gutter mai atka,larki ka bhai kya jane pechay ka sawad, mohalay mai siyana raja aur na jane kya kya urdu se ziadati se shidat is kadar barh gyi k akbar ala abadi k sher ki tang torne bhi maayoob na samjha k >
HUYE IS KADER MOHAZIB KABHI (androoni) GHAR KA MOO NA DEKHAA
UMER KATI SHATOON PEY, MARAY BARAMDAY MA I JAA KAY
yahan marnay se murad yakeenan intiqaal hai magar is jahan se us jahan nahi bulke is ghar se us ghar ,kher sanson ne wafa nibhai tu aik mazmoon is ghar se us ghar muntaqali par bhi likh k surkhroo zaroor hongey.
Tu Janab urdu , waaldeen , usaatza ko tu hum say faiz hasil nahi hua tu deewar pey lagay clock ko kaise baksh detay.anjuman-e-taajran-e-awara-o-naakra market k sadarsahab ne kisi zamanay mai samjhaya tha jo baat abi tak palay pari hoi hai kay beta kutay mai agar aik kaaf hota hai tu clock ko do kaf hotey hien.kabi apni raftar iski tik tik sey kam na honay dena tu bus andhay ko kya chayie do aakhien,raaton ko apna din aur din ko ?????ye baat abhi tak sawalia nishan se juri hoi hai goya choli daman k sath ho jaise.Jahan humne clock sey itni bari ziadati ki wahan iske ukab mai waakya hazrat calender ko kaise nazar andaaz kar sakte they tu calender sahab ki bey-hurmati bhi hum pey wajib ho gyi.tareekhon ka mukamal hisab tu door humse haftay k saat(7) dino ka hisab bhi masla-e-feesa ghoras k mutraadif tha, jumayraat k roz sufaid kalfwala suit pehan k masjid jaa pohanchay aur ye sochne lagay ye kis firqay kay IMAM hein jinho ney aaj jumay ki namaz khutbay k begair hi parha di.Kabil fazil kahan humko manwa sakte they ye jasarat tu massjid k bahir bethey bhikari ney ki jisne jumayraat ka hawala detey huye sawal kiya `` babu , shaala jawanian maan rakhay jumayraat a koi madad hi kar``............tu jahan apni hi bewakoofi pey sharam ayi wahan fakhar bhi hoya kay jawani abhi barqarar hai bulkay beyqarar hai jab hi tu is bhikari ne kaha warna khaali pait jhoot kon bolta hai.
Mozoo par wapis aatay huye batata chaloon kay calender ki roo sey aik aur eid meri eidoon mai shamil ho gyi ,EID UL BASANT jiski dhoom dharakay wali chand raat k baad shuru hota hai aik purmusrat din,mai yahan yeh bhi batata chaloon kay is din na hi raqam(eidi) ya tahaif ka tabadala hota hai aur na hi gosht ka haan albata nazroon ka tabadala zaroor hota hai aur kabhi kabhi gaalion ka bhi kher uski parwa kisko?hum tu wo mujahid hien jo kashtian jala kar shat pey jaatay hein mera matlab maidan-e-jang mai jatay hien aur yun sara din larai hoti rehti hai dekhne walay tu yehi samajhte hien kay buhat hi mahir pechaawaar hien par wo kya janay us peechay k lutf ko jo hum siyah chashmoon ki aar mai kar rahe hote hien aur agar is pechay k jazbay se sarshaar ho kay hum us pechay mai kaamyaabi hasil kar lete hein tu ba khuda is mai humara koi kaarnama nahi , mutasir karne kay k liye hum tu wapda ki taaron se aatish bazi ka kaam lene se b daraigh nahi karte aur yun subha se dopahar aur dopahar se sham aa jati hai ssooraj mamu bhi jaa chukay hun humari aankhon se siyah chasma nahi jata aakhir mai kabi na-kaami muqadar banti hai tu kabhi kamyabi zilat......bad kismeti tu yeh kay jab hum sahi tor pe jawan huye tu sadar e pakistan ney humari is masoom si eid kat taro aur maro pay pabandi laga di aur yun humare liye EID UL BASANT sirf chandraat aur eid kay din ka naam reh gaya.
Aglay din se shuru phir maamool ki zindagi zameer k jawab nafs k sawal ki zindagi agar tu mayoosi mili tu dil udas rehta hai aur agar guzishta din mai kamyabi mili tab bhi dil udas hi rehta hai. Jee haan ! udas- kiun kay wo din jis ko humne apni nadani aur kamaqal se eid ka naam de dia wo buhat se gharoon kay liye siyah din ban jaata hai.Patanag ki dor ki terha beyshumaar zindagion ki dor bhi toot jaati hai kisi k ghar ka sarbarah apni hi goli ka nishana ban jata hai tu kisi kay ghar ka chirag bijli ki ziadati se khud bujh jaata hai,kabhi tu wo kati patang jo khud kisi ka nishana banay lehrati rehti hai kisi aur ko apna nishana bana leti hai.
Mere ikhtalafaat hakomat se humesha rahey hein magar aik cheez pay mutafiq bhi hun aur wo hai is eid k taro maro par pabandi, Eid k maani khushi kay hien auar agar isi ka naam khushi hai tu esi so(100) eidain qurban un masoom logon par jahan aise din maatam manaya jaata hai .Ye farzi aur bey maani khushian kabhi bhi kisi ki qeemti jaan se barh kar nahi.Mai hakomat kat faislay ki tayeed karta hun aur umeed rakhta hun kay esi chand raat aur eid pey bhi pabandi lagai jaye jiska fawaid kam aur nuksaanat zaada hein.Jab hum jaise shokeen log kinara kashi kar sakte hien tu aap kiun nahi ?........apna jawab khud talash kijiye.ALLAH SUBHAN TAALAH hum sab ko sochne aur samajhne ki salahiyat aur tofeeq aata farmaye AMEEN
wah bhai bht kooob likha hai andaz bhi bht khoob hai ager ya sab sochai to kya hi acha ho humarya liya wakae Allah tofeeq ata fermain ham sab ko aik baar phr se bht khoob
ReplyDeleteJanab,
ReplyDeleteGuzarish yeh hai keh basant kay din itnay log nahi mertay jitnay road accident main mertay hain sara saal - to kya aap motorcycle aur gari per bhi pabandi lagwa dain gay? Masla yeh hai keh hakoomat logon ko lohay/dhaat ki taar say patang uranay say roknay main nakaam hai. Hum khud apnay hath say apni aur dosron ki mot ka intezaam kertay hain. Basant ab bhi manai ja sakti hai agar her koi kuch bunyadi chezon ka khayal rakhay.
Thank You and that i have a swell supply: How Much Are House Renovations Stardew Valley whole home renovation cost
ReplyDelete